Shakti naam
ke ek sahab aaj mehmaan-e-khusoosi (chief guest) ki haisiyat se
tashreef farma rahe the. Shakti sahab ka taaluq junoobi Hind (south
India) se hain lekin woh Mumbai mein hi rehaaish pazeer hain aur ek
Angrezi akhbaar ke tafreehi shobe mein sahafi ki haisiyat se kaam
karte hain.
Shakti
sahab kaam toh Angrezi akhbaar mein karte hain, magar inhein Urdu se
khusoosi lagao hain. Urdu ke adeebon ke tahreeron ko Roman mein
likhne aur phir unka tarjuma karne ka bhi inhein shauq hain. Zaahir
hai ki ye tarjuma achha toh nahin ho pata magar wo kisi na kisi se
iss ki islah zaroor karwa lete hain. Haal hi mein unhone Saadat Hasan
Manto ki ek mutanazo tahreer ka tarjuma kiya. Is tarjumay ki islah
Najam sahab ne kiya jis mein unke taqreeban do ghante sarf huye. Is
babat Najam sahab ne kaha tha ki kisi nau-sikhye ke tarjume ki islah
se ziyada aasaan kaam naye sire se tajurma karna hota hai aur is mein
waqt bhi ziyada nahin lagta.
Shakti
sahab ki Urdu se mohabbat ka ye alam hai ki jab wo kisi aise shakhs
se milte hain jo achhi Urdu jaanta hai toh wo us ke banda-e-be-daam
ho jaate hain.
Baqol
Gulzar: “Woh yaar mera khushboo ki tarah, jis ki zubaan Urdu ki
tarah!”
Aajkal
Angrezi jaannewale aise beshumaar afraad se wasta padta rehta hai jo
Urdu se mar’oob nazar aate hain magar unke khayal mein Urdu seekhna
aasaan kaam nahin. Yeh afraad kisi na kisi soorat mein Urdu
kehnewalon se jude rehne ki koshish karte hain taaki uss zubaan ki
sheerini un ke kaanon mein ras gholti rahe aur yeh
zubaan-e-Mir-o-Ghalib ko sun sun kar sar dhoonte rahein.
Urdu ke
aise hi maddahon ka majma har maheene ke doosrey mangal ko Prithvi
Theater ke saamne waqe “Mehfil” mein dekhne ko milta hain jahaan
angrezi medium se taalluq rakhnewali do khawaateen Priyanka aur Urwa
ek mehfil ka ineqaad karti hain jis mein Urdu ke adeebon aur shayron
ke iqtebasaat aur kalam sunaye jaate hain. Saath hi unki mutaalliq
clippings bhi dikhai jaati hain. Yeh program khusoosi taur par Javed
Siddiqui aur Shama Zaidi ki nigraani mein hota hai jabki Salim Arif
aur Lubna Salim bhi is mein shareek hote rehte hain. “Mehfil” ka
yeh silsila taqreeban do saal se jaari hai.
Urdu se
mohabbat karnewale ghair-Urdu-daan tabqe ke muqaable Shakti sahab ki
Urdu ke liye mohabbat kahin aage dikhai deti hai. Wajah aap suneinge toh aap
khud bhi is baat ka aiteraaf kar lein ge. Is baat se sabhi waqif hain
ki ajkal naujawanon ko tattoo gudwaane ka shauq hai aur phir is shauq
mein ye bhi nahin dekha jata ki unhone jo kuch gudwaya hain wo is
layaq hai bhi ya nahin? Shakti sahab is maamle mein auron se
mukhtalif hain. Unhone apni gardan par daayen jaanib apna naam Shakti
Urdu mein gudwaya hai aur wo bhi itna bada ki door se hi padne mein
aajata hai.
Shakti
sahab ne kuch roz qabl kaha tha ki unki ek saathi ladki Urdu seekhna
chahti hai. Kya aisa koi idaara hai jo ghair Urdu daan afraad ko Urdu
sikhaata hai? Humein to maloom tha ki Charni road par waqe Mahatama
Gandhi Memorial Urdu Library mein Urdu sikhaaii jaati hai magar
hamare dil mein khayal aaya kyun na Shakti sahab ko Najam sahab se
milaya jaye. Yehi soch kar humne Shakti sahab ko “Chai Khaana” ki
daawat de di. Daftar mein jis din unki chhuti hoti hai us se qabl ki
raat humne unhein shab-bedaari ke liye aamaada kiya. Daftar unka
Parel mein hai aur rehaaish Sanpadaa, Navi Mumbai mein (jis ke baare
mein wo kehte hain ki is ka naam “Sanpada nahin, balki Sunsanpada”
hona chahiye). Jab humne unpar apna iraada zaahir kiya to woh foran
raazi hogaye.
Bahar-haal
hum unhein lekar Chai Khaana pahonch gaye jahan Najam sahab ke elaawa
Gul Muhammad, Taj sahab aur bade Shah Sahab bhi maujood the.
Taqreeban paanch ghante ka saath raha. Duniya jahan ki baatein hueen.
Taarruf ke baad kuch der tak Shakti sahab sirf saamay (listener) bane
rahe magar phir unhone guftagu mein badh-chadh kar hissa lena shuru
kar diya. Is qism ke mahaul mein baithne ka Shakti sahab ka yeh pehla
magar dilchasp tajurba tha.
Maujooda
haalaat mein agar kahin guftagu ho rahi ho aur siyasat ka zikr na
nikle, yeh toh namumkin hai. Siyasat par guftgu karte hue Shakti
sahab ko kuch jhijhak mehsoos hui lekin aahista aahista wo bhi khulna
shuru ho gaye.
Kisi mehfil
mein aksariyati (majority) aur aqalliyati (minority) firqay ke afraad
shamil hon to wahan mazhab ki siyasat ke saath saath Hindustan aur
Pakistan ka zikr bhi zaroor chhidta hai. Unhein hum logon ke
khayalaat se agahi hui aur humein unke khayalaat se. Kahin par to wo
moutraz nazar aaye aur kahin moutarif. Bahar-haal mahaul khush-gawaar
raha.
Shakti
sahab haalanki shab-bedaar nahin hain, magar uss raat neend un se
koson door nazar aa rahi thi. Aakhir mein unhein station tak chhorne
ke liye gaye to raaste mein bhi baat-cheet hoti rahi. Elaaqe ki sair
karte hue aur station wapsi ke dauraan unhone apne smartphone se kayi
tasweerein khenchin jin mein kahin maummar afraad, mehv-e-guftugu
the. Kahin billiyan gosht ki dukaan mein ghoom phir raheen thi, kahin
sooni galliyan aur chahal pahal thi. Akhir mein unhone kaha ki “Admi
ko safar karte rehna chahiye taaki unhein naye naye logon se sabaqa
pade aur nayi nayi baatein seekhta rahe.”
Yaani yeh
ki chalte raho subah-o-shaam.
— Chaalbaaz
N.B. This
piece was written by Farooque Ansari for Inquilab, something i
cherish, maybe because something like this will never happen again.
1 comment:
Bahut khoob!
Post a Comment